Tujhse Garwida Yak Zamana Raha
tujh se garwida yak zamana raha
kuchh faqat main hi mubtila na raha
aap ko ab hui hai qadr-e-wafa
jab ki main laiq-e-jafa na raha
rah-o-rasm-e-wafa wo bhul gae
ab hamein bhi koi gila na raha
husn KHud ho gaya gharib-nawaz
ishq muhtaj-e-ilteja na raha
bas-ki nazzara soz tha wo jamal
hosh-e-nazzargi baja na raha
main kabhi tujh se bad-guman na hua
tu kabhi mujh se aashna na raha
aap ka shauq bhi to ab dil mein
aap ki yaad ke siwa na raha
aur bhi ho gae wo ghafil-e-KHwab
nala-e-subh-e-na-rasa na raha
husn ka naz aashiqi ka niyaz
ab to kuchh bhi wo majra na raha
ishq jab shikwa sanj-e-husn hua
iltija ho gai gila na raha
hum bharose pe un ke baiTh rahe
jab kisi ka bhi aasra na raha
mere gham ki hui unhen bhi KHabar
ab to ye dard la dawa na raha
aarzu teri barqarar rahe
dil ka kya raha raha na raha
ho gae KHatm mujh pe jaur-e-falak
ab koi morid-e-bala na raha
jab se dekhi abul-kalam ki nasr
nazm-e-'hasrat' mein bhi maza na raha
(1480) Peoples Rate This