ToD Kar Ahd-e-karam Na-ashna Ho Jaiye
toD kar ahd-e-karam na-ashna ho jaiye
banda-parwar jaiye achchha KHafa ho jaiye
mere uzr-e-jurm par mutlaq na kije iltifat
balki pahle se bhi baDh kar kaj-ada ho jaiye
KHatir-e-mahrum ko kar dijiye mahw-e-alam
dar-pa-e-iza-e-jaan-e-mubtala ho jaiye
rah mein miliye kabhi mujh se to az-rah-e-sitam
honT apna kaT kar fauran juda ho jaiye
gar nigah-e-shauq ko mahw-e-tamasha dekhiye
qahr ki nazron se masruf-e-saza ho jaiye
meri tahrir-e-nadamat ka na dije kuchh jawab
dekh lije aur taghaful-ashna ho jaiye
mujh se tanhai mein gar miliye to dije galiyan
aur bazm-e-ghair mein jaan-e-haya ho jaiye
han yahi meri wafa-e-be-asar ki hai saza
aap kuchh is se bhi baDh kar pur-jafa ho jaiye
ji mein aata hai ki us shoKH-e-taghaful-kesh se
ab na miliye phir kabhi aur bewafa ho jaiye
kawish-e-dard-e-jigar ki lazzaton ko bhul kar
mail-e-aram o mushtaq-e-shifa ho jaiye
ek bhi arman na rah jae dil-e-mayus mein
yani aaKHir be-niyaz-e-muddaa ho jaiye
bhul kar bhi us sitam-parwar ki phir aae na yaad
is qadar begana-e-ahd-e-wafa ho jaiye
hae ri be-iKHtiyari ye to sab kuchh ho magar
us sarapa naz se kyunkar KHafa ho jaiye
chahta hai mujh ko tu bhule na bhulun main tujhe
tere is tarz-e-taghaful ke fida ho jaiye
kashmakash-ha-e-alam se ab ye 'hasrat' ji mein hai
chhuT ke in jhagDon se mehman-e-qaza ho jaiye
(1600) Peoples Rate This