Tere Dard Se Jis Ko Nisbat Nahin Hai
tere dard se jis ko nisbat nahin hai
wo rahat musibat hai rahat nahin hai
junun-e-mohabbat ka diwana hun main
mere sar mein sauda-e-hikmat nahin hai
tere gham ki duniya mein ai jaan-e-alam
koi ruh mahrum-e-rahat nahin hai
mujhe garm-e-nazzara dekha to hans kar
wo bole ki is ki ijazat nahin hai
jhuki hai tere bar-e-irfan se gardan
hamein sar uThane ki fursat nahin hai
ye hai un ke ek ru-e-rangin ka partaw
bahaar-e-tilism-e-latafat nahin hai
tere sarfaroshon mein hai kaun aisa
jise dil se shauq-e-shahadat nahin hai
taghaful ka shikwa karun un se kyunkar
wo kah denge tu be-murawwat nahin hai
wo kahte hain shoKHi se hum dilruba hain
hamein dil nawazi ki aadat nahin hai
shahidan-e-gham hain subuk ruh kya kya
ki us dil pe bar-e-nadamat nahin hai
namuna hai takmil-e-husn-e-suKHan ka
guhar bari-e-taba-e-hasrat nahin hai
(1120) Peoples Rate This