Tasir-e-barq-e-husn Jo Un Ke SuKHan Mein Thi
tasir-e-barq-e-husn jo un ke suKHan mein thi
ek larzish-e-KHafi mere sare badan mein thi
wan se nikal ke phir na faraghat hui nasib
aasudgi ki jaan teri anjuman mein thi
ek rang-e-iltifat bhi us be-ruKHi mein tha
ek sadgi bhi us nigah-e-sahar fan mein thi
mohtaj-e-bu-e-itr na tha jism-e-KHub-e-yar
KHushbu-e-dilbari thi jo us pairahan mein thi
kuchh dil hi bujh gaya hai mera warna aaj kal
kaifiyat-e-bahaar ki shiddat chaman mein thi
malum ho gai mere dil ko rah-e-shauq
wo baat pyar ki jo hunuz us dahan mein thi
ghurbat ki subh mein bhi nahin hai wo raushni
jo raushni ki sham-e-sawad-e-watan mein thi
aish gudaz-e-dil bhi gham-e-ashiqi mein tha
ek rahat-e-latif bhi zimn-e-mehan mein thi
achchha hua ki KHatir-e-'hasrat' se haT gai
haibat si ek jo KHatra-e-dar-o-rasan mein thi
(962) Peoples Rate This