Taban Jo Nur-e-husn Ba-sima-e-ishq Hai
taban jo nur-e-husn ba-sima-e-ishq hai
kis darja dil-pazir tamasha-e-ishq hai
arbab-e-hosh jitne hain bimar-e-aql hain
un ke liye zarur mudawa-e-ishq hai
main kya hun ek zarra-e-sahra-e-ishtiyaq
dil kya hai ek qatra-e-dariya-e-ishq hai
shah o gada ka farq nahin ahd-e-husn mein
ab jis ko dekhiye use dawa-e-ishq hai
zahir hai be-qarari-e-paiham se haal-e-dil
bekar hum ko dawa-e-iKHfa-e-ishq hai
pinhan hijab-e-naz mein hai surat-e-jamal
paida haruf-e-shauq se mana-e-ishq hai
ai ahl-e-aql kyun ho use fikr-e-nam-o-nang
'hasrat' KHarab-e-ishq hai ruswa-e-ishq hai
(814) Peoples Rate This