Sitam Ho Jae Tamhid-e-karam Aisa Bhi Hota Hai
sitam ho jae tamhid-e-karam aisa bhi hota hai
mohabbat mein bata ai zabt-e-gham aisa bhi hota hai
bhula deti hain sab ranj o alam hairaniyan meri
teri tamkin-e-behad ki qasam aisa bhi hota hai
jafa-e-yar ke shikwe na kar ai ranj-e-nakaami
ummid o yas donon hon baham aisa bhi hota hai
mere pas-e-wafa ki bad-gumani hai ba-ja tum se
kahin be-wajh izhaar-e-karam aisa bhi hota hai
teri dildariyon se surat-e-beganagi nikli
KHushi aisi bhi hoti hai alam aisa bhi hota hai
waqar-e-sabr khoya girya-ha-e-be-qarari ne
kahin ai e'tibar-e-chashm-e-nam aisa bhi hota hai
ba-dawa-e-wafa kyun shikwa-sanj-e-jaur hai 'hasrat'
dayar-e-shauq mein ai mahw-e-gham aisa bhi hota hai
(875) Peoples Rate This