Rawish-e-husn-e-muraat Chali Jati Hai
rawish-e-husn-e-muraat chali jati hai
hum se aur un se wahi baat chali jati hai
us jafa-ju se ba-ima-e-tamanna ab tak
hawas-e-lutf-o-inayat chali jati hai
mil hi jate hain pashimani-e-gham ke asbab
shauq-e-hirman ki mudaraat chali jati hai
hum se har-chand wo zahir mein KHafa hain lekin
koshish-e-pursish-e-haalat chali jati hai
din ko hum un se bigaDte hain wo shab ko hum se
rasm-e-pabandi-e-auqat chali jati hai
us sitamgar ko sitamgar nahin kahte banta
sai-e-tawil-e-KHayalat chali jati hai
nigah-e-yar se pa lete hain dil ki baaten
shohrat-e-kashf-o-karamat chali jati hai
hairat-e-husn ne majbur kiya hai 'hasrat'
wasl-e-jaanan ki yunhi raat chali jati hai
(1314) Peoples Rate This