Raushan Jamal-e-yar Se Hai Anjuman Tamam
raushan jamal-e-yar se hai anjuman tamam
dahka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam
hairat ghurur-e-husn se shoKHi se iztirab
dil ne bhi tere sikh liye hain chalan tamam
allah-ri jism-e-yar ki KHubi ki KHud-ba-KHud
ranginiyon mein Dub gaya pairahan tamam
dil KHun ho chuka hai jigar ho chuka hai KHak
baqi hun main mujhe bhi kar ai tegh-zan tamam
dekho to chashm-e-yar ki jadu-nigahiyan
behosh ek nazar mein hui anjuman tamam
hai naz-e-husn se jo farozan jabin-e-yar
labrez aab-e-nur hai chah-e-zaqan tamam
nash-o-numa-e-sabza-o-gul se bahaar mein
shadabiyon ne gher liya hai chaman tamam
us naznin ne jab se kiya hai wahan qayam
gulzar ban gai hai zamin-e-dakan tamam
achchha hai ahl-e-jaur kiye jaen saKHtiyan
phailegi yun hi shorish-e-hubb-e-watan tamam
samjhe hain ahl-e-sharq ko shayad qarib-e-marg
maghrib ke yun hain jama ye zagh o zaghan tamam
shirini-e-nasim hai soz-o-gudaz-e-'mir'
'hasrat' tere suKHan pe hai lutf-e-suKHan tamam
(2235) Peoples Rate This