Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d902fd83239dda208e7086ad2ac70797, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Paiham Diya Pyala-e-mai Barmala Diya - Hasrat Mohani Poetry In English - Darsaal

Paiham Diya Pyala-e-mai Barmala Diya

paiham diya pyala-e-mai barmala diya

saqi ne iltifat ka dariya baha diya

us hila-ju ne wasl ki shab hum se ruTh kar

nairang-e-rozgar ka aalam dikha diya

allah ri bahaar ki rang afriniyan

sehn-e-chaman ko taKHta-e-jannat bana diya

ab wo hujum-e-shauq ki sarmastiyan kahan

mayusi-e-firaq ne dil hi bujha diya

'hasrat' ye wo ghazal hai jise sun ke sab kahen

'momin' se apne rang ko tu ne mila diya

(1160) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Paiham Diya Pyala-e-mai Barmala Diya In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Paiham Diya Pyala-e-mai Barmala Diya is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Paiham Diya Pyala-e-mai Barmala Diya for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Paiham Diya Pyala-e-mai Barmala Diya in PDF.