Nigah-e-yar Jise Aashna-e-raaz Kare
nigah-e-yar jise aashna-e-raaz kare
wo apni KHubi-e-qismat pe kyun na naz kare
dilon ko fikr-e-do-alam se kar diya aazad
tere junun ka KHuda silsila daraaz kare
KHirad ka nam junun paD gaya junun ka KHirad
jo chahe aap ka husn-e-karishma-saz kare
tere sitam se main KHush hun ki ghaaliban yun bhi
mujhe wo shamil-e-arbab-e-imtiyaz kare
gham-e-jahan se jise ho faragh ki KHwahish
wo un ke dard-e-mohabbat se saz-baz kare
ummid-war hain har samt aashiqon ke giroh
teri nigah ko allah dil-nawaz kare
tere karam ka saza-war to nahin 'hasrat'
ab aage teri KHushi hai jo sarfaraaz kare
(9000) Peoples Rate This