Nazzara-e-paiham Ka Sila Mere Liye Hai
nazzara-e-paiham ka sila mere liye hai
har samt wo ruKH jalwa-numa mere liye hai
us chehra-e-anwar ki ziya mere liye hai
wo zulf-e-siyah tab-e-dota mere liye hai
zinhaar agar ahl-e-hawas tujh pe fida hun
ye martaba-e-sadq-o-safa mere liye hai
ban kar main razakar muhayya-e-fana hun
aawaza-e-haq bang-e-dara mere liye hai
KHush-nudi-e-fujjar ke pairaw hain yazidi
taqlid-e-shah-e-karb-o-bala mere liye hai
mahrum hun majbur hun be-tab-o-tawan hun
maKHsus tere gham ka maza mere liye hai
sarmaya-e-rahat hai fana ki mujhe talKHi
is zahr mein saman-e-baqa mere liye hai
jannat ki hawas ho to main kafir ki pareshan
us shoKH ki KHushbu-e-qaba mere liye hai
pahle bhi kuchh ummid na thi chaaragaron ko
aur ab to dawa hai na dua mere liye hai
mar jaunga mai-KHane se nikla jo kabhi main
nazzara-e-mai ruh-faza mere liye hai
tashKHis-e-tabiban pe hansi aati hai 'hasrat'
ye dard-e-jigar hai ki dawa mere liye hai
(1198) Peoples Rate This