Na Surat Kahin Shadmani Ki Dekhi
na surat kahin shadmani ki dekhi
bahut sair duniya-e-fani ki dekhi
meri chashm-e-KHun-bar mein KHub rah kar
bahaar aap ne gul-fishani ki dekhi
tamanna ne us ru-e-zeba ko dekha
ki taswir husn-e-jawani ki dekhi
ajab shauq se dast-e-saqi mein hum ne
surahi mai-e-arghawani ki dekhi
zahe rob-e-husn un ke dar par kisi ne
zarurat na kuchh pasbani ki dekhi
na tum sa KHush-aKHlaq paya na hum ne
kahin shan ye dil-sitani ki dekhi
mujhe kar ke mayus bole wo 'hasrat'
masarrat gham-e-jawedani ki dekhi
(1307) Peoples Rate This