Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e31690780b2141c9e78a52c87271f6f7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Muqarrar Kuchh Na Kuchh IsMein Raqibon Ki Bhi Sazish Hai - Hasrat Mohani Poetry In English - Darsaal

Muqarrar Kuchh Na Kuchh IsMein Raqibon Ki Bhi Sazish Hai

muqarrar kuchh na kuchh is mein raqibon ki bhi sazish hai

wo be-parwa ilahi mujh pe kyun garm-e-nawazish hai

pa-e-mashq-e-taghaful aap ne maKHsus Thahraya

hamein ye baat bhi min-jumala-e-asbab nazish hai

miTa de KHud hamein gar shikwa-e-gham miT nahin sakta

jafa-e-yar se ye aaKHiri apni guzarish hai

kahan mumkin kisi ko baryabi un ki mahfil mein

na itminan-e-koshish hai na ummid-e-sifarish hai

nihan hai dil paziri jis ke har har lafz-e-shirin mein

ye kis jaan-e-wafa ke hath ki rangin nigarish hai

kiya tha ek din dil ne jo dawa-e-shakebai

so ab tak un ke naz-e-dilbari ko hum se kawish hai

hujum-e-yas ne be-dil kiya aisa ki 'hasrat' ko

tere aane ki ab ummid baqi hai na KHwahish hai

(1867) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muqarrar Kuchh Na Kuchh IsMein Raqibon Ki Bhi Sazish Hai In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Muqarrar Kuchh Na Kuchh IsMein Raqibon Ki Bhi Sazish Hai is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Muqarrar Kuchh Na Kuchh IsMein Raqibon Ki Bhi Sazish Hai for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Muqarrar Kuchh Na Kuchh IsMein Raqibon Ki Bhi Sazish Hai in PDF.