Mahrum-e-tarab Hai Dil-e-dil-gir Abhi Tak
mahrum-e-tarab hai dil-e-dil-gir abhi tak
baqi hai tere ishq ki tasir abhi tak
wasl us but-e-bad-KHu ka mayassar nahin hota
wabasta-e-taqdir hai tadbir abhi tak
ek bar suni thi so mere dil mein hai maujud
ai jaan-e-tamanna teri taqrir abhi tak
sikhi thi jo aaghaz-e-mohabbat mein qalam ne
baqi hai wo rangini-e-tahrir abhi tak
is darja na betab ho ai shauq-e-shahadat
hai miyan mein us shoKH ki shamshir abhi tak
kahne ko to main bhul gaya hun magar ai yar
hai KHana-e-dil mein teri taswir abhi tak
bhuli nahin dil ko teri duzdida-nigahi
pahlu mein hai kuchh kuchh KHalish-e-tir abhi tak
the haq pe wo be-shak ki na hote to na hota
duniya mein bapa matam-e-'shabbir' abhi tak
guzre bahut ustad magar rang-e-asar mein
be-misl hai 'hasrat' suKHan-e-'mir' abhi tak
(893) Peoples Rate This