Kya Wo Ab Nadim Hain Apne Jaur Ki Rudad Se
kya wo ab nadim hain apne jaur ki rudad se
lae hain meraTh jo aaKHir mujh ko faizabad se
sair-e-gul ko aai thi jis dam sawari aap ki
phul uTTha tha chaman faKHr-e-mubarakbaad se
har kas-o-na-kas ho kyunkar kaam-gar-e-be-KHudi
ye hunar sikha hai dil ne ek baDe ustad se
ek jahan mast-e-mohabbat hai ki har su bu-e-uns
chhai hai un gesuon ki nikhat-e-barbaad se
ab talak maujud hai kuchh kuchh laga lae the hum
wo jo ek lapka kabhi na KHak-e-jahan aabaad se
dawa-e-taqwa ka 'hasrat' kis ko aata hai yaqin
aap aur jate rahen pir-e-mughan ki yaad se
(786) Peoples Rate This