Kya Kaam Unhen Pursish-e-arbab-e-wafa Se
kya kaam unhen pursish-e-arbab-e-wafa se
marta hai to mar jae koi un ki bala se
mujh se bhi KHafa ho meri aahon se bhi barham
tum bhi ho ajab chiz ki laDte ho hawa se
daman ko bachata hai wo kafir ki mabaada
chhu jae kahin paki-e-KHun-e-shohda se
diwana kiya saqi-e-mahfil ne sabhi ko
koi na bacha us nazar-e-hosh-ruba se
ek ye bhi haqiqat mein hai shan-e-karam un ki
zahir mein wo rahte hain jo har waqt KHafa se
aagah-e-gham-e-ishq nahin wo shah-e-KHuban
aur ye bhi jo ho jae faqiron ki dua se
qail hue rindan-e-KHarabaat ke 'hasrat'
jab kuchh na mila hum ko giroh-e-urfa se
(978) Peoples Rate This