Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7ehgii1daap2fdm0pv3c0lc150, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Humne Kis Din Tere Kuche Mein Guzara Na Kiya - Hasrat Mohani Poetry In English - Darsaal

Humne Kis Din Tere Kuche Mein Guzara Na Kiya

hum ne kis din tere kuche mein guzara na kiya

tu ne ai shoKH magar kaam hamara na kiya

ek hi bar huin wajh-e-giraftari-e-dil

iltifat un ki nigahon ne dobara na kiya

mahfil-e-yar ki rah jaegi aadhi raunaq

naz ko us ne agar anjuman-ara na kiya

tan-e-ahbab sune sarzanish-e-KHalq sahi

hum ne kya kya teri KHatir se gawara na kiya

jab diya tum ne raqibon ko diya jam-e-sharab

bhul kar bhi meri jaanib ko ishaara na kiya

ru-ba-ru chashm-e-tasawwur ke wo har waqt rahe

na sahi aankh ne gar un ka nazara na kiya

gar yahi hai sitam-e-yar to hum ne 'hasrat'

na kiya kuchh bhi jo duniya se kinara na kiya

(1178) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humne Kis Din Tere Kuche Mein Guzara Na Kiya In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Humne Kis Din Tere Kuche Mein Guzara Na Kiya is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Humne Kis Din Tere Kuche Mein Guzara Na Kiya for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Humne Kis Din Tere Kuche Mein Guzara Na Kiya in PDF.