Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a1faa04c2875c0511053d37ed28c4fdc, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Haal Mein Raha Jo Tera Aasra Mujhe - Hasrat Mohani Poetry In English - Darsaal

Har Haal Mein Raha Jo Tera Aasra Mujhe

har haal mein raha jo tera aasra mujhe

mayus kar saka na hujum-e-bala mujhe

har naghme ne unhin ki talab ka diya payam

har saz ne unhin ki sunai sada mujhe

har baat mein unhin ki KHushi ka raha KHayal

har kaam se gharaz hai unhin ki raza mujhe

rahta hun gharq un ke tasawwur mein roz o shab

masti ka paD gaya hai kuchh aisa maza mujhe

rakhiye na mujh pe tark-e-mohabbat ki tohmaten

jis ka KHayal tak bhi nahin hai rawa mujhe

kafi hai un ke pa-e-hina-basta ka KHayal

hath aai KHub soz-e-jigar ki dawa mujhe

kya kahte ho ki aur laga lo kisi se dil

tum sa nazar bhi aae koi dusra mujhe

begana-e-adab kiye deti hai kya karun

us mahw-e-naz ki nigah-e-ashna mujhe

us be-nishan ke milne ki 'hasrat' hui ummid

aab-e-baqa se baDh ke hai zahr-e-fana mujhe

(1615) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Haal Mein Raha Jo Tera Aasra Mujhe In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Har Haal Mein Raha Jo Tera Aasra Mujhe is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Har Haal Mein Raha Jo Tera Aasra Mujhe for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Har Haal Mein Raha Jo Tera Aasra Mujhe in PDF.