Dua Mein Zikr Kyun Ho Muddaa Ka
dua mein zikr kyun ho muddaa ka
ki ye shewa nahin ahl-e-raza ka
talab meri bahut kuchh hai magar kya
karam tera hai ek dariya ata ka
kahan tak naz uThae aaKHir ai husn
hawas tere mizaj-e-KHud sata ka
nahin malum kya ai shah-e-KHuban
tujhe kuchh haal apne mubtila ka
baja-e-ism-e-azam aap ka nam
wazifa hai mera subh o masa ka
ghazab ka samna hai aashiqon ko
dayar-e-haq mein afwaj-e-bala ka
nisar un par hue achchhe rahe hum
taqaza tha yahi KHu-e-wafa ka
gunahgaro chalo afw-e-ilahi
bahut mushtaq hai arz-e-KHata ka
teri mahfil mein ahl-e-dil ko jalwa
nazar aa jaega shan-e-KHuda ka
uThaya hai maza dil ne bahut kuchh
mohabbat ke gham-e-rahat-faza ka
jafa ko bhi wafa samjho ki 'hasrat'
tumhein haq un se kya chun-o-chara ka
(2500) Peoples Rate This