Dil Ko KHayal-e-yar Ne MaKHmur Kar Diya
dil ko KHayal-e-yar ne maKHmur kar diya
saghar ko rang-e-baada ne pur-nur kar diya
manus ho chala tha tasalli se haal-e-dil
phir tu ne yaad aa ke ba-dastur kar diya
gustaKH-dastiyon ka na tha mujh mein hausla
lekin hujum-e-shauq ne majbur kar diya
kuchh aisi ho gai hai tere gham mein mubtila
goya kisi ne jaan ko mashur kar diya
betabiyon se chhup na saka majra-e-dil
aaKHir huzur-e-yar bhi mazkur kar diya
ahl-e-nazar ko bhi nazar aaya na ru-e-yar
yan tak hijab-e-nur ne mastur kar diya
'hasrat' bahut hai martaba-e-ashiqi buland
tujh ko to muft logon ne mashhur kar diya
(1810) Peoples Rate This