But-e-be-dard Ka Gham Monis-e-hijran Nikla
but-e-be-dard ka gham monis-e-hijran nikla
dard jaana tha jise hum ne wo darman nikla
aankh jab band hui tab khulin aankhen apni
bazm-e-yaran jise samjhe the wo zindan nikla
hasrat-o-yas ka amboh fughan ki kasrat
main teri bazm se kya ba-sar-o-saman nikla
KHun ho kar to ye dil aankh se barson Tapka
na koi par dil-e-nakaam ka arman nikla
aaina paikar-e-taswir nigah-e-mushtaq
jise dekha teri mahfil mein wo hairan nikla
mujh ko hairat hai hua kya dam-e-ruKHsat hamdam
jaan nikli mere pahlu se ki jaanan nikla
KHub dozaKH ki musibat se bache hum 'hasrat'
is ka darogha wahi yar ka darban nikla
(797) Peoples Rate This