Barkaten Sab Hain Ayan Daulat-e-ruhani Ki
barkaten sab hain ayan daulat-e-ruhani ki
wah kya baat hai us chehra-e-nurani ki
shauq dekhe tujhe kis aankh se ai mehr-e-jamal
kuchh nihayat hi nahin teri daraKHshani ki
mujh se wo sag bhi hai afzal jise izzat ho nasib
aastan-e-haram-e-yar pe darbani ki
jab suna yaad kiya karte ho tum bhi to mujhe
kya kahun had na rahi kuchh meri hairani ki
sai-e-ahbab ko nahaq hai rihai ka KHayal
aur hi kuchh hai tamanna tere zindani ki
wo tabassum bhi qayamat hai tera baad-e-jafa
tu ne di ho jise KHidmat namak-afshani ki
mushkilon se jo muqabil hui himmat meri
qadr baqi na rahi aish-e-tan-asani ki
rah gaya jal ke teri bazm mein parwana jo raat
khinch gai shakl meri soKHta-samani ki
rashk-e-shahi ho na kyun apni faqiri 'hasrat'
kab se karte hain ghulami shah-e-jilani ki
(912) Peoples Rate This