Badal-e-lazzat-e-azar Kahan Se Laun
badal-e-lazzat-e-azar kahan se laun
ab tujhe ai sitam-e-yar kahan se laun
pursish-e-haal pe hai KHatir-e-jaanan mail
jurat-e-koshish-e-izhaar kahan se laun
hai wahan shan-e-taghaful ko jafa se bhi gurez
iltifat-e-nigah-e-yar kahan se laun
nur anqa hai shab-e-hijr ki tariki mein
jalwa-e-subh ke aasar kahan se laun
sohbat-e-ahl-e-safa KHub hai mana lekin
raunaq-e-KHana-e-KHummar kahan se laun
sher mere bhi hain pur-dard wa-lekin 'hasrat'
'mir' ka shewa-e-guftar kahan se laun
(912) Peoples Rate This