Baam Par Aane Lage Wo Samna Hone Laga
baam par aane lage wo samna hone laga
ab to izhaar-e-mohabbat barmala hone laga
ishq se phir KHatra-e-tark-e-wafa hone laga
phir fareb-e-husn sargarm-e-ada hone laga
kya kaha main ne jo nahaq tum KHafa hone lage
kuchh suna bhi ya ki yunhi faisla hone laga
ab gharibon par bhi saqi ki nazar paDne lagi
baada-e-pas-KHurda hum ko bhi ata hone laga
meri ruswai se shikwa hai ye un ke husn ko
ab jise dekho wo mera mubtala hone laga
yaad phir us bewafa ki har ghaDi rahne lagi
phir usi ka tazkira subh o masa hone laga
kuchh na puchha haal kya tha KHatir-e-betab ka
un se jab majbur ho kar main juda hone laga
shauq ki betabiyan had se guzar jaane lagin
wasl ki shab wa jo wo band-e-qaba hone laga
kasrat-e-ummid bhi aish-afrin hone lagi
intizar-e-yar bhi rahat-faza hone laga
ghair se mil kar unhen nahaq hua mera KHayal
mujh se kya matlab bhala main kyun KHafa hone laga
qaid-e-gham se tere jaan aazad kyun hone lagi
dam-e-gesu se tere dil kyun riha hone laga
kya hua 'hasrat' wo tera iddaa-e-zabt-e-gham
do hi din mein ranj-e-furqat ka gila hone laga
(981) Peoples Rate This