Aur To Pas Mere Hijr Mein Kya Rakkha Hai
aur to pas mere hijr mein kya rakkha hai
ek tere dard ko pahlu mein chhupa rakkha hai
dil se arbab-e-wafa ka hai bhulana mushkil
hum ne ye un ke taghaful ko suna rakkha hai
tum ne baal apne jo phulon mein basa rakkhe hain
shauq ko aur bhi diwana bana rakkha hai
saKHt bedard hai tasir-e-mohabbat ki unhen
bistar-e-naz pe sote se jaga rakkha hai
aah wo yaad ki us yaad ko ho kar majbur
dil-e-mayus ne muddat se bhula rakkha hai
kya tammul hai mere qatl mein ai bazu-e-yar
ek hi war mein sar tan se juda rakkha hai
husn ko jaur se begana na samjho ki use
ye sabaq ishq ne pahle hi paDha rakkha hai
teri nisbat se sitamgar tere mayuson ne
dagh-e-hirman ko bhi sine se laga rakkha hai
kahte hain ahl-e-jahan dard-e-mohabbat jis ko
nam usi ka dil-e-muztar ne dawa rakkha hai
nigah-e-yar se paikan-e-qaza ka mushtaq
dil-e-majbur nishane pe khula rakkha hai
is ka anjam bhi kuchh soch liya hai 'hasrat'
tu ne rabt un se jo is darja baDha rakkha hai
(1016) Peoples Rate This