Apna Sa Shauq Auron Mein Laen Kahan Se Hum
apna sa shauq auron mein laen kahan se hum
ghabra gae hain be-dili-e-hamrahan se hum
kuchh aisi dur bhi to nahin manzil-e-murad
lekin ye jab ki chhuT chalen karwan se hum
ai yaad-e-yar dekh ki ba-wasf-e-ranj-e-hijr
masrur hain teri KHalish-e-na-tawan se hum
malum sab hai puchhte ho phir bhi muddaa
ab tum se dil ki baat kahen kya zaban se hum
ai zohd-e-KHushk teri hidayat ke waste
saughat-e-ishq lae hain ku-e-butan se hum
betabiyon se chhup na saka haal-e-arzu
aaKHir bache na us nigah-e-bad-guman se hum
pirana-sar bhi shauq ki himmat buland hai
KHwahan-e-kaam-e-jaan hain jo us naujawan se hum
mayus bhi to karte nahin tum za-rah-e-naz
tang aa gae hain kashmakash-e-imtihan se hum
KHalwat banegi tere gham-e-jaan-nawaz ki
lenge ye kaam apne dil-e-shadman se hum
hai intiha-e-yas bhi ek ibtida-e-shauq
phir aa gae wahin pe chale the jahan se hum
'hasrat' phir aur ja ke karen kis ki bandagi
achchha jo sar uThaen bhi is aastan se hum
(2287) Peoples Rate This