Aasan-e-haqiqi Hai Na Kuchh Sahal-e-majazi
aasan-e-haqiqi hai na kuchh sahal-e-majazi
malum hui rah-e-mohabbat ki daraazi
kuchh lutf o nazar lazim o malzum nahin hain
ek ye bhi tamanna ki na ho shobada bazi
dil KHub samajhta hai tere harf-e-karam ko
har-chand wo urdu hai na turki hai na tazi
qaim hai na wo husn-e-ruKH-e-yar ka aalam
baqi hai na wo shauq ki hangama-nawazi
ai ishq teri fath bahar-haal hai sabit
mar kar bhi shahidan-e-mohabbat hue ghazi
kar jald hamein KHatm kahin ai gham-e-jaanan
kaam aaegi kis roz teri sina-gudazi
malum hai duniya ko ye 'hasrat' ki haqiqat
KHalwat mein wo mai-KHwar hai jalwat mein namazi
(921) Peoples Rate This