Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_49e306b2d0801e7f28a09b6696f54664, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Shoala Hi Sahi Aag Lagane Ke Liye Aa - Hasrat Jaipuri Poetry In English - Darsaal

Shoala Hi Sahi Aag Lagane Ke Liye Aa

shoala hi sahi aag lagane ke liye aa

phir nur ke manzar ko dikhane ke liye aa

ye kis ne kaha hai meri taqdir bana de

aa apne hi hathon se miTane ke liye aa

ai dost mujhe gardish-e-haalat ne ghera

tu zulf ki kamli mein chhupane ke liye aa

diwar hai duniya ise rahon se haTa de

har rasm-e-mohabbat ko miTane ke liye aa

matlab teri aamad se hai darman se nahin hai

'hasrat' ki qasam dil hi dukhane ke liye aa

(1156) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shoala Hi Sahi Aag Lagane Ke Liye Aa In English By Famous Poet Hasrat Jaipuri. Shoala Hi Sahi Aag Lagane Ke Liye Aa is written by Hasrat Jaipuri. Read famous Poem Shoala Hi Sahi Aag Lagane Ke Liye Aa for youth and Student by Hasrat Jaipuri. Free Download Shoala Hi Sahi Aag Lagane Ke Liye Aa in PDF.