Yar Ibtida-e-ishq Se Be-zar Hi Raha
yar ibtida-e-ishq se be-zar hi raha
bedard dil ke dar piye aazar hi raha
jis din se dost rakhta hun us ko hijab-e-husn
apna hamesha dushman-e-didar hi raha
ye ishq-e-parda-dar na chhupaya chhupa daregh
sita hamesha main lab-e-izhaar hi raha
qaid-e-farang-e-zulf na kafir ko ho nasib
jo wan phansa hamesha giraftar hi raha
jaan-baKHsh tha jahan ka masiha-e-lab tera
lekin main us ke daur mein bimar hi raha
gar qatl-e-be-gunah tha manzur yar ko
marne pe apne main bhi to tayyar hi raha
dauran-e-lutf main tere ai mubhwis-nawaz
mahrum wasl se ye gunahgar hi raha
'hasrat' hamesha us ki shab-e-intizar mein
jun tala-e-raqib main bedar hi raha
(1174) Peoples Rate This