Wafa Ke Hain KHwan Par Niwale Ze-aab Awwal Doam Ba-atish
wafa ke hain KHwan par niwale ze-aab awwal doam ba-atish
bhare hai saqi yahan pyale ze-ab awwal doam ba-atish
chaman mein josh-e-junun ke hain ashk aur dagh-e-darun se apne
karun shagufta gul aur lale ze-ab awwal doam ba-atish
hamare ashk aur aah ki maujen bandh deti hain sab jo duri
bane hain mah-e-falak pe haale ze-ab awwal doam ba-atish
jahan ke sab garm o sard dekhe na zauq hai un mein kuchh na lazzat
do roz chhati yahan pakale ze-ab awwal doam ba-atish
do hukm hain shah-e-ishq ke in mein ek galna hai ek jalna
hain daftar-e-dard mein qabaale ze-ab awwal doam ba-atish
na khol waiz kitab-e-danish ki aatish-e-ishq o aab-e-mai se
dhoun jalaun tere risale ze-ab awwal doam ba-atish
sitam hai aafat hai mahr ya kin bala ye ishq-e-satiza-gar ki
dilon ke KHane ujaD Dale ze-ab awwal doam ba-atish
paDe hain hum KHun-e-dil mein ghaltan jigar hai dagh-e-jafa se sozan
koi hai apne tain sambhaale ze-ab awwal doam ba-atish
visal ki justuju mein 'hasrat' chala na zari na zor ka kuchh
bahut se yan hum ne Dhab nikale ze-ab awwal doam ba-atish
(1009) Peoples Rate This