Us Zulf Se Dil Ho Kar Aazad Bahut Roya
us zulf se dil ho kar aazad bahut roya
ye silsila-e-ulfat kar yaad bahut roya
rahm us ko na tha hargiz har chand bahaal-e-sag
us kuche mein main kar kar fariyaad bahut roya
mazlumi meri aur zulm dekh us but-e-kafir ka
rahm aaya sitam ke tain be-dad bahut roya
dil gham se na ho KHali rone se mera lekin
ta ho mere rone se wo shad bahut roya
is ishq ki majburi naseh pe khuli jab se
kar mana-e-mohabbat ka irshad bahut roya
dekhi na KHuda-tarsi ek gabr o musalman se
har ek se talab kar kar main dad bahut roya
anjam mohabbat ka bujha tha magar us ko
jab dil laga shirin se farhad bahut roya
hai taza-giraftaron ki fariyaad ko kya riqqat
shab nala mera sun kar sayyaad bahut roya
sangin-dili us but ki main jis se kahi 'hasrat'
har-chand dil us ka tha faulad bahut roya
(798) Peoples Rate This