Rakha Pa Jahan Mein Nagara Zamin Par
rakha pa jahan mein nagara zamin par
bahut sar ko wan hum ne mara zamin par
junun josh mare hai diwar-o-dar se
hua kis pari ka guzara zamin par
nahin hai ye aah-e-falak sa ki hum ne
alam shor-e-sauda ka gaDha zamin par
qadam jis jagah rakkha us sang-dil ne
na ho wan ba-juz sang-e-KHara zamin par
nazar se teri jis ne hum ko giraya
falak se uTha kar ke mara zamin par
tu ru-e-zamin dekh le sair ho kar
na hoga guzar phir dobara zamin par
tere naqsh-e-pa ko kahe apna ham-sar
nahin hai ye munh to hamara zamin par
wo zohra-jabin mehrban howe 'hasrat'
kahan hai ye apna sitara zamin par
(703) Peoples Rate This