Rah-raste Mein Tu Yun Rahta Hai Aa Kar Humse Mil
rah-raste mein tu yun rahta hai aa kar hum se mil
kam gaya lekin wo yar-e-KHangi ghar hum se mil
dil taDapta hai paDa is sina-e-sad-chaak mein
khol kar band-e-qaba tu ai saman-bar hum se mil
be-niyaz us husn ko aur naz ko barpa rakhe
be-takalluf ho ke tu ai naz-parwar hum se mil
pahunchna tum tak miyan apna to ek ashkal hai
howe ta milna tera hum ko mayassar hum se mil
har musibat bhar ke main pahuncha hun tere dar talak
be-murawwat ek dam aa ghar se bahar hum se mil
ab to us be-dast-o-pa se ho nahin sakti talash
DhunD le kar hum ko ai rizq-e-muqaddar hum se mil
in dinon rahti hai mujh ko be-qarari beshtar
qasd kar ke to mukarrar aur muqarrar hum se mil
ser rakhti hain meri be-tabien us waqt zor
harf hamara gar nahin hai tujh ko bawar hum se mil
ho gaya teri hawa-KHwahi mein 'hasrat' tu ba-baad
baiTha kya hai KHak mein hum ko mila kar hum se mil
(824) Peoples Rate This