Qasid-e-KHush-fal Laya Uske Aane Ki KHabar
qasid-e-KHush-fal laya us ke aane ki KHabar
dil to KHush karta hai bare ye bahane ki KHabar
wo but-e-be-raham hum se yun judai kar gaya
hae kis kafir ko thi is bad zamane ki KHabar
bulbulo do din ghanimat hai ye fursat aish ki
bagh se hai aaj kal hi gul ke jaane ki KHabar
ta-abad KHali rahe ya-rab dilon mein us ki ja
jo koi lawe mere ghar us ke aane ki KHabar
mere dil ko nisbat-e-farhad-o-majnun aar hai
dur ho mujh ko nahin hai is diwane ki KHabar
kaun kis ki ishq ke zindan mein gham-KHwari kare
KHun-e-dil leta hai mere pine khane ki KHabar
aa gaya nadan tu us ke fareb-e-lutf mein
mujh ko 'hasrat' sab thi us ke dil lubhane ki KHabar
(741) Peoples Rate This