Phiri Si Dekhta Hun Is Chaman Ki Kuchh Hawa Bulbul
phiri si dekhta hun is chaman ki kuchh hawa bulbul
tujhe fursat hai jab tak aashiyan yan se uTha bulbul
tu aashiq hai wafa tera hunar hai ishq mein warna
mera gul be-wafa hai kya ise qadr-e-wafa bulbul
dar-e-rahmat KHuda ka baz hai dil apna taza rakh
qafas mein hasrat-e-gul se mat itna phaDphaDa bulbul
tujhe ai baghban ek musht-e-par se kya adawat hai
bahaar aaKHir hai do din mein kuja gul phir kuja bulbul
KHizan-e-shum ye gulshan ke haq mein kya qayamat hai
ki is ke aate hi be-barg ho gul be-nawa bulbul
dil aasuda na paya kya KHizan aur kya bahaar is ko
mohabbat mein rakhe hai turfa dard-e-be-dawa bulbul
bhara hai neamat-e-alwan se gul ka KHwan go 'hasrat'
kare har subh uTh kar KHun-e-dil se nashta bulbul
(758) Peoples Rate This