Na Gharaz Nang Se Rakhte Hain Na Kuchh Nam Se Kaam
na gharaz nang se rakhte hain na kuchh nam se kaam
KHwari-e-ishq mein apni hai hamein kaam se kaam
gul-o-gulzar ki hum ko to hawa bhi na lagi
tha sarokar qafas se hamein aur dam se kaam
mat halak itna karo mujh ko malamat kar kar
nek-namo tumhein kya mujh se hai bad-nam se kaam
mahw hun us ke qad-o-chashm ki kaifiyyat se
mast ko jaise rahe shishe se aur jam se kaam
daur mein sim-tani ke teri ai aafat-e-jaan
puKHta-maghzon ko rahe hai hawas-e-KHam se kaam
sirf auqat ka hai shaghl mujhe ishq-e-butan
gham-e-aghaz nahin mujh ko na anjam se kaam
wah-wa apni KHushi se jo mujhe de dildar
talib-e-bosa nahin main pa hai dushnam se kaam
jahan paun use dekhun nahin kuchh mujh ko lihaz
main hun sail mujhe kya waqt se hangam se kaam
lutf-e-KHas us ke ka maKHsus jo ho so jaane
KHas kar hai mujhe 'hasrat' karam-e-am se kaam
(876) Peoples Rate This