Na ChhuTa Hath Se Yak Lahza Gareban Mera
na chhuTa hath se yak lahza gareban mera
chashm-e-tar hi pe raha gosha-e-daman mera
jis taraf guzre kare ru-e-zamin ko gulzar
sair-e-gulshan se phire jab gul-e-KHandan mera
khelen aapas mein pari-chehra jahan zulfen khol
kaun puchhe hai wahan haal-e-pareshan mera
baKHt hain shor ye apne hi ki wo naushin lab
auron ka chashma-e-haiwan hai namak-dan mera
auron ki aankhon ko dekhun hun main didar-nasib
bana rone ko yahi dida-e-giryan mera
dur us lab se jo guzre hai dil-e-pur-KHun par
jaane mera hi jigar aur ye dandan mera
be-ajal marta raha ishq mein us ke umr bhar
kahun kis munh pe main 'hasrat' wo hai jaanan mera
(685) Peoples Rate This