Kya Kahun Tujhse Meri Jaan Main Shab Ka Ahwal
kya kahun tujh se meri jaan main shab ka ahwal
tujh pe raushan hai dil-e-wasl-talab ka ahwal
hun main ek aashiq-e-be-bak o KHarabaati o rind
mujh se mat puchh mere ilm-o-adab ka ahwal
dil ko KHali karun ro ro ke magar main be-kas
kaun sunta hai mere ranj-o-tab ka ahwal
mahram-e-raaz nahin milta koi dard hai ye
kya tabibon se kahun ishq ke tab ka ahwal
lutf hai sab se sazawar-e-ghazab ek hun main
KHub dekha jo tere lutf o ghazab ka ahwal
ai miyan aaj to do baat meri bhi sun le
kaha chahun hun main tujh se bhala kab ka ahwal
zor hai jaise ki nisbat namak o rish ke bich
main hi samjhun teri kaifiyyat-e-lab ka ahwal
nahin dam marne ki mujh ko tere aage majal
hae sunta hai tu kis tarah se sab ka ahwal
kya koi KHush ho mere sher ko sun ke 'hasrat'
dard-e-dil hai ye nahin aish-o-tarab ka ahwal
(743) Peoples Rate This