Kam-tar Ya Beshtar Gae Hum
kam-tar ya beshtar gae hum
us dar se ba-chashm-e-nam gae hum
ek gul na chuna hum us chaman se
le apna hi musht-e-par gae hum
baize se nikalte hi sar haif
yun qaid-e-qafas mein paD gae hum
bin yar laga na dil kidhar bhi
jitna ki idhar udhar gae hum
kya dur se muskura ke sarka
kal us ki nazar jo paD gae hum
duniya ka wa din ka hum ko kya hosh
mast aae wa be-KHabar gae hum
us jaan-e-aziz ne na puchha
jite hain ya ki mar gae hum
kuchh kaam na tha hamein kisi se
lene dil ki KHabar gae hum
itni muddat ke baad 'hasrat'
kal raat jo us ke ghar gae hum
(889) Peoples Rate This