Kab Talak Piwega Tu Tar-damanon Se Mil Ke Mul
kab talak piwega tu tar-damanon se mil ke mul
ek dam ai ghuncha-lab hum se kabhi to khil ke khul
be-sar-o-bargon ko kya nisbat hai sair-e-bagh se
dagh-e-dil hain hum tahi-dastan-e-pa dar-gil ke gul
us ki jang-e-be-sabab ka hai taghaful hi ilaj
aap Dhela ho ke aawega idhar Dhal Dhal ke Dhul
zer-e-abru is tarah mizhgan nahin rahti mudam
sar pe mere jun rahe hai tegh us qatil ki tul
rabt kuchh bazm-e-mashaeKH se nahin rindon ke tain
kab liye ye mast saghar ke siwa qulqul ki qul
ho sake to baKHiya o marham ka yaro waqt hai
jaan na jawe is tan-e-majruh mein ghael ke ghul
ba-qad-e-KHam-gashta hun rone se nit ke main KHarab
mauj-e-dariya toDte hain jis tarah pil pil ke pul
chille ki manind khinchun jab talak bar mein na tang
kab miTe hai us but-e-harjai-e-chanchal ki chul
daur mein us zulf ke hai bas ki diwanon ki dhum
sunta hun chaaron taraf se main sada-e-ghul ke ghul
'hasrat' us ke dam mein phansna muqaddar tha mera
the meri nazron mein to pech-o-KHam us kakul ke kul
(801) Peoples Rate This