Kab Talak Hum Ko Na Aawega Nazar Dekhen To
kab talak hum ko na aawega nazar dekhen to
kaise tarsata hai ye dida-e-tar dekhen to
ishq mein us ke ki guzre hain sar o jaan se hum
apni kis taur se hoti hai guzar dekhen to
kar ke wo jaur-o-sitam hans ke laga ye kahne
aah o afghan ka teri hum bhi asar dekhen to
sabr ho sakta hai kab hum se wale maslahatan
aazmaish dil-e-betab ki kar dekhen to
Dhab chaDhe ho mere tum aaj hi to muddat baad
jaenge aap kahan aur kidhar dekhen to
kis dileri se kare hai tu fida jaan us par
dil-e-jaan-baz tera hum bhi hunar dekhen to
kya majal apni jo kuchh kah saken hum tujh se aur
tujh ko bhar kar nazar ai shoKH pisar dekhen to
ho chalin KHira to aKHtar-shumari se aankhen
shab hamari bhi kabhi hogi sahar dekhen to
ishq ke sadme uThane nahin aasan 'hasrat'
kar sake koi hamara sa jigar dekhen to
(869) Peoples Rate This