Jis Ka Mayassar Na Tha Bhar Ke Nazar Dekhna
jis ka mayassar na tha bhar ke nazar dekhna
kahta hai KHat aae par Tuk to idhar dekhna
bola wo hans ke ki han dekhe hain tujh se bahut
main jo kaha hai gharaz mujh ko magar dekhna
dekhun na wo din ki main minnat-e-ehsan lun
sham meri ai falak ho na sahar dekhna
roz-e-widaa us ko dekh ek do nazar sair ho
dekh le phir hum kahan aur kidhar dekhna
yar hua be-dimagh sun mera shor-e-junun
aah-o-fughan ka meri yaro asar dekhna
jis ki tu dekhe hai rah meri nazar mein hai KHub
ek dam idhar dekhna ek dam adhar dekhna
itna gaya-guzra bhi mujh ko na wan se samajh
ghair tu us kuche se phir to guzar dekhna
KHilqat-e-KHuban ke bich qubah-e-KHuda nikle hai
aib hai use munkiro husn agar dekhna
dida-e-barik-bin rah-e-adam par ho jun
marg pe dil dharna hai us ki kamar dekhna
'hasrat' use dil-kusha jaise hai dariya ki sair
mere lab-e-KHushk aur dida-e-tar dekhna
(935) Peoples Rate This