Har Taraf Hai Us Se Mere Dil Ke Lag Jaane Mein Dhum
har taraf hai us se mere dil ke lag jaane mein dhum
bulbul-o-gul mein hai chah-chah sham-o-parwane mein dhum
fitna-gar hai naz-o-ishwa us ki chashm-e-shoKH mein
jun machawen pi ke mai badmast mai-KHane mein dhum
yaad mein apni hai shayad wo faramush-kar bhi
dil kare hai mujh se us ki yaad dilwane mein dhum
jis tarah baad-e-KHizan-dida mein aati hai bahaar
shahr mein hoti hai us ke mere ghar aane mein dhum
naubat auron ki to ai saqi subu-pardaz hai
kya machai hai hamare ek paimane mein dhum
jun bulandi se gire hai KHak par koi zaif
hai meri us shoKH ki nazron se gir jaane mein dhum
dekh to le ser ho kar tujh ko ye KHana-KHarab
aate hi kya hai teri itni bhi ghar jaane mein dhum
barhaman hone ko aata hai naya shaiKH aaj kaun
ho rahi hai har taraf 'hasrat' sanam-KHane mein dhum
(755) Peoples Rate This