Hai Rashk-e-wasl Se Gham-e-dildar Hi Bhala
hai rashk-e-wasl se gham-e-dildar hi bhala
rahat se aisi hum ko wo dil-azar hi bhala
duniya mein yaro yar-e-wafadar hi nahin
aur jo na ho to rahna hai be-yar hi bhala
mashuq ka nazara mayassar ho ya na ho
aashiq hamesha talib-e-didar hi bhala
zari pe meri rahm bhi kar aa KHuda ko man
kafir rahega hum se tu bezar hi bhala
atwar-e-bad hai ghair se KHulta mere huzur
is ke ewaz na kar tu hamein pyar hi bhala
zaKHmon se gham ke tera kaleja to chhil gaya
bulbul hai aise gul se tujhe KHar hi bhala
ek jura dard-e-mai pe ho itna na talKH-o-tund
saqi main aise mast se hoshyar hi bhala
'hasrat' bura kiya main uThaya dil us se kyun
dildar gar na tha to dil-azar hi bhala
(818) Peoples Rate This