Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_971e5c86656ffe4a4ec186230a67ba14, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chahe So Hamein Kar Tu Gunahgar Hain Tere - Hasrat Azimabadi Poetry In English - Darsaal

Chahe So Hamein Kar Tu Gunahgar Hain Tere

chahe so hamein kar tu gunahgar hain tere

taqdir thi apni ki giraftar hain tere

marte hain kabhi aa ke hamari bhi KHabar le

aah ai but-e-bedard ye bimar hain tere

naqd-e-dil-o-din muft mein de baiThenge aaKHir

hum aashiq-e-muflis ki KHaridar hain tere

KHwahish hai na bose ki na aaghosh se matlab

didar ke yan sirf talabgar hain tere

hai ru-e-zamin arsa-e-mahshar unhen har roz

jo dil-shuda-e-qamat-o-raftar hain tere

hum wasl mein aur hijr mein jalte rahe un se

kya dagh-e-jigar ye gul-e-ruKHsar hain tere

saugand hai 'hasrat' mujhe ejaz-e-suKHan ki

ye sehr hain jadu hain na ashaar hain tere

(831) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chahe So Hamein Kar Tu Gunahgar Hain Tere In English By Famous Poet Hasrat Azimabadi. Chahe So Hamein Kar Tu Gunahgar Hain Tere is written by Hasrat Azimabadi. Read famous Poem Chahe So Hamein Kar Tu Gunahgar Hain Tere for youth and Student by Hasrat Azimabadi. Free Download Chahe So Hamein Kar Tu Gunahgar Hain Tere in PDF.