Aata Hun Jab Us Gali Se Sau Sau KHwari Khinch Kar
aata hun jab us gali se sau sau KHwari khinch kar
phir wahin le jae mujh ko be-qarari khinch kar
pahuncha hai ab to nihayat ko hamara haal-e-zar
la use jis-tis tarah tasir-e-zari khinch kar
koh-e-gham rakhti hai dil par is KHiram-e-naz se
KHajlat-e-raftar-e-kabk-e-kohsari khinch kar
kis ke shor-e-ishq se yun rota rahta hai sada
nala o fariyaad ye abr-e-bahaari khinch kar
bandhun hun warastagi ka dil mein apne jab KHayal
bandh le jaen hamein zulfen tumhaari khinch kar
kal jo tu ghar se na nikla uTh gaya kar ke dua
subh se ta-sham main kya intizari khinch kar
galiyan de mar le ya qatl kar muKHtar hai
lai ab to yan mujhe be-iKHtiyari khinch kar
saqiya paiham pila de mujh ko mala-mal jam
aaya hun yan main azab-e-hoshyari khinch kar
'hasrat' us ki bazm ke jaane se rakh mujh ko muaf
muft mein roega wan se sharmsari khinch kar
(739) Peoples Rate This