Haar Kar Bazi Phir Ek Tadbir Ho Jaunga Main
haar kar bazi phir ek tadbir ho jaunga main
tum samajhte ho yun hi tasKHir ho jaunga main
ishq mein is ke sawa main kuchh nahin kar paunga
hu-ba-hu jaanan teri taswir ho jaunga main
sath chhuTega nahin apna safar mein umr ke
rahguzar tu aur tera rah-gir ho jaunga main
aayaten mansub hain tujh se rumuz-e-ishq ki
aur inhi aayat ki tafsir ho jaunga main
gham uThata hun ghazal kahta hun jita rahta hun
log kahte hain ki ek din 'mir' ho jaunga main
(669) Peoples Rate This