Zard Mausam Mein Bhi Ek ShaKH Hari Rahti Hai
zard mausam mein bhi ek shaKH hari rahti hai
dil ke gulshan mein koi sabz pari rahti hai
tishna-lab kaun hai wo jis ke liye nahr-e-furaat
meri palkon ki munDeron pe dhari rahti hai
mustaqil KHana-badoshi ka koi ajr nahin
panw se lipTi mere dar-ba-dari rahti hai
ai mere dil ke makin kuchh nahin tabdil hua
tum jahan rahte the shorida-sari rahti hai
jism ke bhed to khul jate hain dhire dhire
ruh se ruh ki to parda-dari rahti hai
dost ho jata mera sara zamana 'hashim'
mere honTon pe magar baat khari rahti hai
(901) Peoples Rate This