Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b2a73ef49576eb76a02b7b95bd7540c7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Uski Marzi Ki Main Us Ka IntiKHab Na Tha - Hashim Raza Jalalpuri Poetry In English - Darsaal

Ye Uski Marzi Ki Main Us Ka IntiKHab Na Tha

ye us ki marzi ki main us ka intiKHab na tha

wagarna mere muqaddar mein kya janab na tha

kuchh is liye tere gulshan se main palaT aaya

tamam phul wahan the magar gulab na tha

bichhaDte waqt hamare labon mein chubhne lage

sawal aise ki jin ka koi jawab na tha

jise bhi chaha use be-hisab chaha ki

hamare dil mein miyan shoaba-e-hisab na tha

gulu-e-KHushk se tir-e-sitam ko toD diya

ye bachpane ka tha aalam abhi shabab na tha

main ek zamane mein 'hashim-raza' payambar tha

mohabbaton ka magar sahib-e-kitab na tha

(1198) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Uski Marzi Ki Main Us Ka IntiKHab Na Tha In English By Famous Poet Hashim Raza Jalalpuri. Ye Uski Marzi Ki Main Us Ka IntiKHab Na Tha is written by Hashim Raza Jalalpuri. Read famous Poem Ye Uski Marzi Ki Main Us Ka IntiKHab Na Tha for youth and Student by Hashim Raza Jalalpuri. Free Download Ye Uski Marzi Ki Main Us Ka IntiKHab Na Tha in PDF.