Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0a5a6fc42ea29c5e961f56d6c8bad321, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tamasha Ahl-e-mohabbat Ye Chaar-su Karte - Hashim Raza Jalalpuri Poetry In English - Darsaal

Tamasha Ahl-e-mohabbat Ye Chaar-su Karte

tamasha ahl-e-mohabbat ye chaar-su karte

dil-o-dimagh aur aankhen lahu lahu karte

wo raushni se bhari jhil ke kinare par

shikasta-ruh, darida-badan rafu karte

hamare bare mein taftish karna chahte the

to jaan-e-jaan parindon se guftugu karte

jamal-o-husn se labrez jab zamana hai

teri bisat hi kya teri aarzu karte

zamin pe chand sitare bichha ke ai 'hashim'

falak pe phul sajaane ki aarzu karte

(880) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamasha Ahl-e-mohabbat Ye Chaar-su Karte In English By Famous Poet Hashim Raza Jalalpuri. Tamasha Ahl-e-mohabbat Ye Chaar-su Karte is written by Hashim Raza Jalalpuri. Read famous Poem Tamasha Ahl-e-mohabbat Ye Chaar-su Karte for youth and Student by Hashim Raza Jalalpuri. Free Download Tamasha Ahl-e-mohabbat Ye Chaar-su Karte in PDF.